Kya kya likhen ,kya kuch kahen,ye kaun sa mukaam hai
Maangi thi to subah ki laali,
Saamne ik shaam hai
Do cheez ham bhule nahi
Ek cheez hai apni anaa,
Aur na likhaa kabhi jo ik tumhaara naam hai
Tootate taaron se na maangi kabhi hamne dua
Jab charaagon ke shahar me hi hamaara kaam hai
Koi to seedhi sadak mil jaaye kooche me tere,
Har cheez betarteeb hai,har simt taam jhaam hai
Har koi apni shishiyon me utaar leta hai ,
Ek paaltu ke jaisi is mulk ki aawaam hai
Ek lambi khaamoshi par koi hangama na tha,
Aaj fir se ik ghazal ka "neel" par ilzaam hai
No comments:
Post a Comment