baithe hue ik panne pe nazar gayi,
ik bazm aa ke yaadon me thahar gayi
ik roshani fir aankhon ke andar gayi,
ik roshani fir aankhon se bikhar gayi
baarish thi dhanuk tha, aur ek shaam
rangon ke bina hi tashwir sanwar gayi
kashti kalam ki syaahi ko samete hue,
kaaghaz pe banaate nazm ki lehar gayi
baagwaa.n ke khwaab ke waaste ,
panchi lutaa ke jaane kitne par gayi
wo maykade se pee ke aaye the magar,
dekha jo gham ka chehra,sab utar gayi,
ik tinka bhi hai keemati panchi ke liye,
aandhiyaan kya kar guzar gayi
ye bheed thi kaisi ,hain sab bekhabar,
na jaane kahaan se aayi thi kidhar gayi
lagti hain khulne to lage baahosh hain,
neel ,nazar kis kitaab se ho kar gayi
No comments:
Post a Comment